RAZA E MUSTAFAﷺ
RAZA E MUSTAFAﷺ
February 13, 2025 at 04:32 PM
بسم الله الرحمن الرحيم الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ SHAB E BARA'AT DOOSRI BADI RATON ME KIYA PADHEN? jo hazraat shab e meraj me shab be daari karna chahte hain aur un ke zimme qaza namazen baqi hain to un ke liye behtar hai ke vah nafl ki jagah qaza e umri namaz ada karen ala hazrat imam ahmad raza khan alyhirrahma farmate hain : " khali naflon ki jagah bhi qazaa e umri padhe" ▪️(fatawa rizviyah. jadid. jild. no. (8) QAZA E UMRI KA TAREQA AUR NIYYAT qaza sirf farz aur vajib namaz ki padhi jati hai aur har din ki qaza namaz kul bees 20, rakat hoti hai, do 2 farz fajar ke, chaar 4,farz zohar ke, chaar 4,farz asar ke, teen 3 farz maghrib ke, char 4,farz isha ke aur teen 3 rakat vitar, qaza e umari ki niyyat is tarah karen " niyyat ki main ne pahli fajar ki jo mujh se qaza huyi, ya pahli zohar ki jo mujh se qaza huyi" isi tarah har namaz men niyyat karen, jis ke zimme ziyadah qaza namzen hon to vah asaani ke liye yeh takhfif kar sakte hain jaiz hai (1) rukoo aur sajde ki tasbih ek baar kah sakte hain, (2)sirf farzon ki teesri aur chauthi rakat me alhamdu ke bajaye sirf teen baar" سبحان الله" (subhanallah) kah sakte hain, (3)attahiyyat ke bad dono durood aur dua ki jagah sirf " اللهم صل على محمد وآله" (allahumma salli ala mohammadin va aalihi) kah kar salam pher sakte hain, (4) vitar me dua e qunoot ki jagah sirf ek ya teen bar " رب اغفر لي" (rabbighfir li) kah sakte hain, ▪️(makhooz az fatawa rizviyah. jadid. jild. no. (8) https://whatsapp.com/channel/0029VapBPUyKAwElq2xqf20J

Comments