
Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
February 23, 2025 at 05:08 AM
*Durust Aur Mazboot Ta'alluqaat Ki Pahchaan!*
*Durust Aur Haqeeqi Ta'alluqaat Wo Hote Hain Jahan Guft O Shaneed Se Mu'aamalaat Sanwar Jaayen, Uljhaao Khatm Ho, Aur Qurbat Me Izaafa Ho. Agar Aap Ko Apne Ta'alluqaat Me Sach Bolne Se Bigaad Paida Hota Hai, To Ye Is Baat Ka Ishaara Hai Ke Aap Ghalat Rishte Me Hain.*
*Sachche Aur PaaiDaar Rishton Me Aisa Mahfooz Maahol Mayassar Hota Hai, Jahan Khul Kar Baat Ki Jaa Sake, Aur Baahami Samajh Boojh (Afhaam O Tafheem) Ko Farogh Diya Jaa Sake.*
*Sachchaayi Aur Diyaanat-Daari Hamesha Ta'alluqaat Ko Mazbooti Ataa Karti Hai, Un Me Daraad Nahi Daalti. Agar Sadaaqat Aur Imaan-Daari Ka Izhaar Karne Se Khauf Ya Jhagde Janam Lete Hain, To Ye Is Amr Ki Alaamat Hai Ke Wo Rishtah E'temaad Aur Baahami Izzat Ki Bunyaadon Se Mahroom Hai.*
> *Yaad Rakhiye, E'temaad, Izzat Aur Sachchaayi Hi Har Mazboot Aur Khush-Gawaar Ta'alluqaat Ki Bunyaad Hain.*
👍
1