🌹🌹طارق محمود رضوی🌺🌺
🌹🌹طارق محمود رضوی🌺🌺
February 8, 2025 at 04:06 PM
*Kya Aap Ki Rozi Halal Hai!* Syyidi Aala Hazrat Quddisa Sirrah Fatawa Razawiyya Shareef mein farmate hain: *Kaam ki teen halatein hain; sust, motadil (meyana andaaz), nihayat tez. Agar mazdoori mein susti ke sath kaam karta hai to gunahgaar hai, aur is par poori mazdoori lena haram (hai). Itne kaam ke laayak jitni ujrat hai le, is se jo kuch zyada mila mustaajir (maalik, kaam par rakhne wale) ko wapas de. Wo na raha ho to us ke waarison ko de, unka bhi pata na chale to musalman mohtaaj (zaroorat mand) par tasadduq (sadaqa) kare. Apne sarf (kaam) mein lana ya ghair sadaqa (maslan: kisi ko tohfatan dene) mein isay sarf karna (istamaal mein lana) haram hai agarche theke ke kaam mein bhi kaahili se susti karta ho.* (J: 19, S: 406) Hum zara ghaur karein ke aaj kal aam tor par dekha jata hai ke tankhwa aur mazdoori par kaam karne wale ghair zimmedaari ke sath kaam karte hain. Yani jis kaam ke liye unhein rakha jata hai, use ache se anjaam nahi dete hain. (Jaise: kaam karne mein susti karte hain, ek ghante ka kaam do ghante mein karte hain, naukri par zimmedariyon ki adaigi ache se nahi karte, maslan: aane mein taakhir aur jaane mein jaldi karna, ustaad hain to parhai ke huqooq ada nahi karte, maslan: ghair zaroori chhuttiyan karna, imam ka apni zimmedariyan ada na karna, mufti ka mansab-e-iftah ke huqooq ada na karna, maslan: ghalat ya chehra dekh kar ya nazrana ki khatir fatwa dena, muqarrereen ka tareekh de kar na pohnchna waghera waghera) aur is par poori mazdoori, tankhwa aur ujrat lete hain. Jabke unhein sirf kaam ke mutabiq ujrat lena zaroori hai. Jo zyada mile use maalik, mustaajir yani kaam par rakhne wale ko wapas karna zaroori hai. Agar wapas na karein to unhein is maal ya raqam ko apne liye kharch karna haram hai. Ye aisa masla hai jisse aam o khaas mein se aksar ghaafil hain. Lihaza humein chahiye ke jis par rakha gaya hai use ache se ada karein aur apni rozi par tawajju dein taake hamare, hamari aulaad aur azeez o aqaraab ke pait mein haram luqma na jaye. Allah Ta'ala humein halal rozi kamane ki taufeeq ata farmaaye. Aameen summa aameen. ✍️ *Tariq Mahmood Razawi* https://whatsapp.com/channel/0029VaEknGm8vd1OtwQRwp0H
❤️ 👍 💙 💚 💝 6

Comments