انجمن رضائے مصطفے ﷺ 💐💐🌹 ANJUMAN RAZA-E-MUSTAFA ﷺ 🌹💐💐
انجمن رضائے مصطفے ﷺ 💐💐🌹 ANJUMAN RAZA-E-MUSTAFA ﷺ 🌹💐💐
February 1, 2025 at 06:28 AM
URS MUBARAK 2 SHA'BAAN_UL MU'AZZAM,MAQBOOL E BAARGAH E RASOOL_ULLAH SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM,IMAAM E AAZAM, HAZRAT NO'MAAN IBN E SAABIT HAZRAT IMAAM E AAZAM ABU HANIFA RADI ALLAHU TA'ALA ANHU.  BAGHDAAD SHAREEF. Tamam sunni hanfiyo'n k Imam Sirajul ummah kaashiful ghumma Sarkar Sayyiduna NOMAN bin SAABIT imame aazam Abu Hanifa radiyALLAHuanhu ki wiladat 80 hijri mein Iraq k shaher kufa me hui . Aap ta baeen ki jama'at me se hain . Kahi sahaba se mulalaqat ka sharf hasil hua jinme hazrat Anas bin Malik , Sahl bin Saad , Abul Tufail Amir jaise Ajillah sahaba shamil hain . Imam e azam k ustad taqri ban 4000 hain jinme Imam Baaqar aur Imam Jafer e Sadiq bhi hain . Aap har juma apne walidain k isale sawab k liye 20 sone k sikke garibo me taqseem farmate the. 40 saal tak isha k wazu se fajr ki namaz ada farmaye . 55 martaba hajj farmaya . 30 saal musalsal roze se rahe ( saal me 5 rozon k ilawa ) Aksar ek ya do rakat me quran e paak khatm farmate the. Jis maqam par rooh qabz hui aapne wahan 7000 quran khatm farmaye . Aapka wisal 2 shabaan 150 hijri me Baghdad e muqaddas me hua . Aapki namaz e janaza 6 martaba padhayi gayi aur har baar 50 hazar logon ne namaz padhi . MILA NA KOI IMAM AISA *IMAM E AZAM ABU HANIFA* RADIH ALLAHU TA'AALA ANH Apne Imaam ki bargah me KHIRAJ E AAQEDAT Pesh karein....

Comments