
Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
June 6, 2025 at 09:51 AM
*Eid Ki Namaaz Ke Ba'ad Gale Milne Ka Rawaaj Qur'aan O Hadees Se, Sahaabah O Taba'een Se, Ayimmah E Arba'ah Se Kahin Se Bhi Saabit Nahi. Ye Tareeqa Rawaafiz Ka Bataaya Gaya Hai, Phir Musafaha Ya Gale Milna Is Ka Mauqa Mahal Namaaz Ke Ba'ad Nahi Hai Balke Mulaaqaat Ke Waqt Hai. Aam Taur Par Log Eid Ki Namaaz Ke Ba'ad Musaafaha Karne Aur Gale Milne Ko Zaroori Samajhte Hain, Islaam Me Aisa Nahi Hai. Is Rawaaj Ko Tark Karna, Eid Ki Khushi Ka Izhaar Sirf "Aap Ko Eid Mubaarak Ho" Kah Kar Kar Dena Kaafi Hai. Wallaahu Ta'ala A'lam (Darul Ifta, Darul Uloom Deoband)*