Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
June 5, 2025 at 02:38 PM
*❗️ Yawm al-Arafah Ka Khaas Khayal Rakhein!* 💥 Ye din ghar ki safai, shopping, soye rehne ya relax karne ka nahi hai. 💥 Ye wo din hai jise Allah ﷻ ne izzat aur bulandi ata ki hai. 💥 Ye wo din hai jab Allah ﷻ Farishton ke samne Arafah ke logon par fakhr karta hai. 💥 Ye Jahannum se Nijaat ka Din hai—ibadat aur farmabardari mein mehnat karne ka waqt hai. 💥 Aur sabse behtareen du’a, Yawm al-Arafah ki du’a hai. 💎 Har saans ko nek amal ya ibadat mein lagayein. Agar aap ek khazana zaya na karein, to is saal ke sabse qeemati din ko kyun zaya karein? 💫 Laylat al-Qadr chhupi hui hai—magar Yawm al-Arafah saaf aur wazeh hai. 💫 Laylat al-Qadr par Farishtey nazil hote hain, magar Arafah ke din Allah Ta’ala khud nazil hota hai (jese uski Shaan ke laayak hai). 📣 Is moqa ka bharpoor faida uthayein. Ye sirf saal mein ek martaba aata hai. Is paighaam ko apne doston aur gharwalon ke saath zarur share karein! *Hira Academy* https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c
❤️ 💖 4

Comments