
Hira Academy (HA)
June 5, 2025 at 03:54 PM
*📆 Yawm al-Arafah Ka Mubarak Schedule:*
🛌 Raat mein jald so jayein taake ibadat ke liye tazgi ho.
🌙 Suhoor ke waqt uth kar roza rakhne ki niyyat ke saath kuch kha lein.
🙏 2 ya 4 rak’at nafil namaz padhein, aur sujood mein dil se du’a karein.
🤲 Fajr se pehle istighfaar karein—un logon mein shaamil ho jaayein jo subah ke waqt maghfirat mangte hain.
💧 Fajr se pehle wudhu karein, sochiye ke gunah paani ke saath dhul rahe hain.
📿 Wudhu ke baad ki duayein padhein.
🕋 Fajr ke baad sajjadah par baith kar tasbeeh aur Qur’an ki tilawat mein mashghool ho jaayein.
📢 Fajr ke baad Takbeeraat ka aghaaz karein.
📖 Qur’an, tasbeeh, aur subah ke azkaar mein lagay rahiye till sooraj nikal aaye.
🌅 Sooraj nikalne ke 15 minute baad 2 rak’at Ishraq padhein—iska sawab Hajj aur Umrah jaisa hai.
💬 Agar ho sake to poora din jagte rahiye aur har lamha ibadat mein guzariyein.
😴 Agar zarurat ho to thodi der ka aaram le lein taake tazgi wapas aaye.
🧼 Uth kar wudhu karein, aur kam az kam 4 rak’at Duha padhein.
🧠 Ibadat mein variety layein—tilawat karein, sochain, tasbeeh padhein.
🏔 Bar bar ye padhein:
"Lā ilāha illAllāh waḥdahu lā sharīka lah, lahu-l-mulku wa lahu-l-ḥamdu, wa huwa ‘alā kulli shay’in qadīr."
🕌 Dhuhr ki namaz padhein, tasbeeh karein, aur Qur’an padhein.
🎙 Khutbah-e-Arafah ghor se sunein, uske paighaamat ko apne dil mein utarein.
🕒 Asr ke baad shaam ke azkaar karein aur du’a ke liye apne dil ko tayyar karein.
🌅 Maghrib se ek ghante pehle sab kaam chhod kar sirf du’a mein mashghool ho jaayein, jaise ke Allah ke samne khade hain.
🕯️ Maghrib se pehle Allah se Jahannum se Nijaat ke liye girgira kar du’a karein.
📿 Allah Ta’ala humein nek amal karne ki taufeeq de, hamari ibadatein qubool karein, aur is paak din humein Jahannum se Nijaat de. Ameen! 🤍
*Hira Academy*
https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c
❤️
🙏
3