Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
June 16, 2025 at 04:29 AM
*♻️ Bachon ke dil mein Quran ki muhabbat daalne ke tareeqe 🤍♻️* 1️⃣ Us ke samne Quran ki tilawat karein: Kyun ke bacha apne walidain ko apne liye aik misaal samajhta hai. 2️⃣ Usay ek khaas Quran tohfe mein dein: Aisa Quran jis par uska naam likha ho, taake use mehsoos ho ke ye Quran uske liye khaas hai. 3️⃣ Us ki tilawat ki aawaz record karein: Aur phir khoobsurat alfaaz mein uski tareef karein, taake woh apni tilawat behtar banane ke liye purjosh ho. 4️⃣ Hifz mukammal hone par inaamaat dein: Jab bhi woh koi hissa mukammal kare, usay inaam dein — jaise ke khilone, stationery ya uski pasand ki koi cheez. 5️⃣ Qurani kahaniyaan sunayein: Jab woh sone jaaye to use Quran ki kahaniyaan sunayein, taake uska ta’alluq Quran se mazid gehra ho. 6️⃣ Quran ki azmat uske samne pesh karein: Taake woh Quran ki izzat aur ehtram dil se mehsoos kare. 7️⃣ Qurani makaatib ka visit karein: Bachay ko Qurani madrasay le jaayein aur wahan Qari sahib se milne ka waqt rakhein, taake usay deen ka mahaul mehsoos ho. 🌸 Allah Paak humein aur hamare bachon ko Quran Paak ke saath ishq, muhabbat aur uska sachha ittiba naseeb farmaye. Aameen.
❤️ 👍 4

Comments