
Hira Academy (HA)
June 19, 2025 at 12:04 AM
*Kitab ut Tawheed*
*Baab 24 بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ نَاضِرَةٌ إِلَى رَبِّهَا نَاظِرَةٌ}*
*Sahih al-Bukhari 7444*
Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
*"Do jannatein aisi hongi jinki har cheez zati taur par bhi aur samaan chandi ki hogi.*
*Aur do jannatein aisi hongi jinki har cheez zati taur par bhi aur samaan sone ki hogi.*
*Aur Jannat-e-Adn mein logon aur Allah ke didar ke darmiyan sirf ek chadar-e-kibriya hogi, jo Allah Rabbul 'Izzat ke chehre par padhi hogi."*
📘 Ibn Hajar farmate hain:
✨ Jannaton ke mukhtalif hone ka matlab hai *unke darjaat mein farq.*
💠 Chandi aur sone se murad *asal chandi aur sona hi hai.*
💎 Kuch log kehte hain ke yahaan unki *chamak aur safai murad hai.*
🌷 Maqsad ye batana hai ke jannat ke ne’mat *mukhtalif qisam* ki hongi.
✅ Aur jo hijab (pardah) ka zikr hai, wo *kibriya yani buzurgi aur azmat ka parda* hai, jo Allah ki ek *sifat* hai Aur ye parda sirf Allah ki marzi se hatega.
✅ Jab Allah parda hata dega, to ahl-e-jannat apne *Rab ke chehre ka didar* karenge 🤲🏻 aur ye *jannat ki sabse badi ne’mat* hogi. 🤍"
*Hira Academy*
https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c
❤️
👍
2