Maulana Munavvar Raza
Maulana Munavvar Raza
June 6, 2025 at 04:26 AM
*Bachon ke liye Khub Khub Duaein Kijiye* 1️⃣ Aye Parwardigar, mere bachon ko apni panah mein rakhna, kyunki main unko panah dene ki taqat nahi rakhti. 2️⃣ Aye Parwardigar, mere bachon ko har burai, shar aur nuksan se mehfooz farma. 3️⃣ Aye mere Rab, mere bachon ko har bemari se mehfooz farma. 4️⃣ Aye Allah! Meri aulaad ke dil mein apni muhabbat daal de. 5️⃣ Aye Rabb-e-Karim, mere bachon ko apne saleheen mein se bana de, aur unko deen, ibadat aur akhlaq mein behtareen logon mein shamil farma. Aye Allah! Unko apna farmanbardar bana! 6️⃣ Aye Parwardigar, mere bachon ko halal ke zariye haram se rok dena, aur apne fazl o karam se apne siwa kisi ka mohtaj na karna. 7️⃣ Aye Rabb-e-Raheem, jis tarah Tu ne apni kitaab Pak ki qayamat tak hifazat karni hai, usi tarah mere bachon ko shaitaan-e-rajim ke shar se mehfooz rakhna. 8️⃣ Aye Parwardigar, wo tamaam bemariyan jo rooh o jism ko nuksan pahuncha sakti hain, mere bachon ko unse mehfooz rakhna. 9️⃣ Aye Rabb-e-Rehman o Raheem, main apne bachon ko jo mere jigar ka tukra hain, Tere supurd karti hoon. Jab bhi wo meri nazron se ojhal hon, Tu unko apni nigaah ke samne rakhna, aur unki har surat mein hifazat farma. 🔟 Aye Allah! Main Tere “As-Samad” naam ke saath, Tere azeem naam ke saath dua karti hoon, Ae Rab-e-Karim, meri aulaad ke ahwal ko behtareen bana de aur mujh par apna ehsaan farma! 1️⃣1️⃣ Aye Allah! Unki umr mein sehat, aafiyat aur apni itaat o raza ke saath barkat ata farma. 1️⃣2️⃣ Ya Rabb! Unke badan, kaan, aankh, jaan aur aaza mein aafiyat paida farma! 1️⃣3️⃣ Aye Allah! Mere bachon ko mere liye khair bana de! 1️⃣4️⃣ Aye Allah! Main apni aulaad ko Teri zamaanat aur amaanat mein deti hoon, Ae wo azeem zaat jo amaanat ko zaya nahi karta! 1️⃣5️⃣ Aye Allah! Har aafat, buri bemari, raat o din ke shar aur har hasid ki nazar ke shar se mere bachon ki hifazat farma. 1️⃣6️⃣ Aye Allah! Unki hifazat farma har taraf se—samne se, peechay se, daayein se, baayein se, upar se, aur neeche se! 1️⃣7️⃣ Aye Allah! Unki aankhon ko na-mahram dekhne se, unke dil ko na-mahram ki muhabbat mein mubtala hone se bacha lijiye! 1️⃣8️⃣ Aye Allah! Meri aulaad ki muhabbat apne nek bandon ke dilon mein daal de! 1️⃣9️⃣ Aye Allah! Meri aulaad ko nek bakht bana, unko dono jahaan mein kamiyabi aur buland maqam ata farma! 2️⃣0️⃣Aye Allah! Yeh saari duayen mere bacchon k saath saath ,mere dost ,mere aziz wa aqaareeb rishtedaar aur tamaam ummat e muslimah ke bacchon k haqq me bhi qabool farma ! ⸻ 🔹 Ya Rabb, hamare marhoomeen ki maghfirat farma, unke darajaat buland kar, aur unki qabr ko roshan farma. 🔹 Ya Rabb, jo pareshaan haal hain, unki pareshaaniyan door farma. 🔹 Ya Rabb, jo bachiyan apne gharon mein rishton ke intezar mein hain, unke naseeb khol de, unko achey rishtay ata farma. 🔹 Ya Rabb-e-Karim, ya Rahman, jo log be-aulaad hain, unko sehat aur aafiyat wali, imaan wali aulaad naseeb farma. 🔹 Ya Rabb, jo qarz aur rizq ki tangi ki wajah se pareshan hain, unke liye rizq ke darwazein khol de aur unke halat behtareen bana de. 🔹 Ya Rabb-e-Karim, hamare zawaj ko hamare liye aankhon ki thandak bana, hamare dil ka qarar bana, ya Rahman ya Wadud ya Karim, hamen ek dusre ke liye deen aur duniya mein madadgaar bana de. 🔹 Ya Raheem, ya Karim, ya Rab, ya Rabb, hamare darmiyan mohabbat aur rishtay ko mazboot bana. 🔹 Ya Rabb, mere shohar aur mere bachon ke rizq ke darwazein hamesha kholay rakhna, unko hamesha dene walon mein shamil rakhna. Unke maal, aulaad, ilm, amal aur imaan mein apni rehmat se barkat ata farma. 🔹 Ya Rabb, ya Rahman, humein sulah rehmi karne walon mein shamil rakhna. 🔹 Ya Arhamar Rahimeen, ya Akramal Akrameen, ya Dhal-Jalali wal Ikram, ya Rab, ya Rab, humein qubool farma. 🔹 Ya Allah! Apne arsh ke saaye tale humein jagah ata farma, jab kisi aur ka saaya nahi hoga. 🔹 Ya Rabb, Ya Rahman, Ya Raheem, Ya Kareem, ya Rabbi ! 💖 Ya Rabbal Aalameen 🤲🏻 Iss Dua ko share krnewale ki Allah Ta'ala magfirat farmaye aur behtreen jazaye khair ata farmaye..Aameen summa Aameen
❤️ 👍 2

Comments