
سبل السلام
June 4, 2025 at 12:47 PM
*Wazahat: Chand dekhne aur Youm-e-‘Arafah ke ta’alluq se ulema ke darmiyan ikhtilaaf hai khaaskar yeh ke kya humein Saudi Arabia ke elaan ko follow karna chahiye ya apne mulk ke chand dekhne par amal karna chahiye.*
Jahan tak Ramzan aur Eid ka ta’alluq hai, to taqreeban tamaam ulema is par muttafiq hain ke har mulk apne chand dekhne ko follow kare.
*Lekin ‘Arafah ka din kuch khaas hai.*
Yeh yaad rakhna zaroori hai ke *Youm-e-‘Arafah ek makhsoos jagah se mansoob hai — yaani Maidaan-e-‘Arafah* (Saudi Arabia mein) jahan hujjaj rukhte hain. Yeh kisi mulk ke chand ya tareekhi hisaab se nahi hai. Rasoolullah ﷺ ne humein *Youm-e-‘Arafah* ko roza rakhne ka hukm diya — sirf Eid se pehle wale din ka nahi.
*Toh yahan se aik simple aur safe tareeqa yeh ho sakta hai:*
✅ *Jumeraat (Thursday )ka roza rakhein (kal) – kyun ke yeh Saudi Arabia mein Youm-e-‘Arafah hai*
✅ *Jumma (Friday)ka bhi roza rakhein agar aapke mulk (jaise ke India, Pakistan waghera) mein Eid Saturday ko hai*
*Yeh sab se behtareen, safe aur zyada sawab ka tareeqa hai* aur bekaar ki bahas se bachne ka bhi.
*Wallahu a‘lam.*
*Al-Hasan Al-Basri (rahimahullah) ne farmaya:*
"Dus (Zilhajj) ke dinon mein ek din ka roza, do mahine ke roze ke barabar hai."
(Al-Dur Al-Manthur 8/501)
*Lekin agar aap do din roza nahi rakh sakte, ya aapke mulk mein kuch uljhan hai, to phir apne mulk ke chand ko follow karein aur apne local calendar ke mutabiq 9 Zilhajj ko roza rakhein* — yahi raye *Shaykh Ibn Uthaymeen (rahimahullah)* ki bhi thi.
Agar aapke mulk ka chand Saudi ke chand ke qareeb hai, to phir masla hi nahi — *Saudi ka follow karna aasaan hai.* In’shaAllah.
*🍃Yaad rakhein:*
*Youm-e-‘Arafah ka roza do saal ke gunaahon ka kaffara hai —pichle saal aur agle saal ka.*