Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
June 14, 2025 at 11:25 AM
*Iran Ki Asliyat* 1979 Mein Iran Mein Khomeini Ki Qayadat Mein Badshahat Khatam Kar Ke Rafzi Inqilab Laya Gaya. Is Inqilab Ne Pore Mashriq-E-Wusta Ko Hila Kar Rakh Diya. Daawa Kiya Gaya Ke Yeh Ek Islami Bedari Hai, Magar Jald Hi Is Ke Asraat Aur Azaaim Wazeh Honay Lage. 1982 Mein Iran Ne Lebanon Mein Hezbollah Ke Zariye Mudakhlat Ki. Is Mudakhlat Ke Nateejay Mein Aaj Tak Lebanon Ki Khudmukhtari Buri Tarah Mutasir Hai, Hukumat Kamzor Hai Aur Ek Musalsal Siyasi O Maashi Buhran Jari Hai. 1983 Mein Iran Ne Iraq Mein Firqawarana Mudakhlat Shuru Ki, Jis Se Shia Sunni Taqseem Mazeed Gehri Hui. Iran Ki Madad Se Qaim Milishiaon Ne Hazaron Sunni Musalmanon Ko Nishana Banaya. Aaj Iraq Dakhli Intishar, Firqawariyat Aur Irani Asar-O-Rusookh Ka Garh Bana Hua Hai. 2011 Mein Shaam Mein Khanah Jangi Ke Doran Iran Ne Bashar Al-Assad Ki Himayat Mein Mudakhlat Ki. Irani Milishiaen, Pasdaran-E-Inqilab Aur Hezbollah Ki Shumooliyat Se Lakhon Sunni Musalman Shaheed Ya Beghar Hue. Aaj Shaam Ek Tabah Hal Mulk Hai, Jahan Iran Ka Asar Markazi Hesiyat Rakhta Hai. 2014 Mein Yemen Mein Iran Ne Houthi Baghiyon Ki Himayat Ki. Is Ke Nateejay Mein Khanah Jangi Shuru Hui Jo Aaj Tak Jari Hai. Yemen Insani Buhran Ka Shikar Hai, Hazaron Bachche Bhook Se Mar Chuke Hain. 2006 Se 2020 Ke Darmiyan Bahrain, Kuwait Aur Saudi Arab Mein Iran Ki Khufia Mudakhlat Aur Baghawaton Ki Koshishen Manzar Aam Par Aayeen. In Mein Giraftar Afrad Ne Irani Himayat Ka Aitraaf Kiya. In Mumalik Mein Irani Asar Ko Rokne Ke Liye Sakht Hifazati Iqdamat Uthaye Gaye. 2011 Mein Libya Mein Moammar Qaddafi Ke Khilaf Awami Baghawat Shuru Hui. Agarche Iran Barah-E-Raast Fariq Na Tha, Magar Kai Khufia Channels Aur Inqilabi Media Ke Zariye Irani Himayat Wazeh Thi. Qaddafi Ki Halakat Ke Baad Baaz Ittila'at Ke Mutabiq Iran Nawaz Halaqon Ne Jashn Manaya, Aur Mithaiyan Taqseem Ki Gayi. Aaj Libya Khanah Jangi, Bairooni Mudakhlat Aur Badtareen Intishar Ka Shikar Hai. 2003 Mein Saddam Hussain Ki Hukumat Ke Khatme Par Bhi Iran Nawaz Anasir Ne Jashn Manaya Tha. Iraq Ki Galiyon Mein Mithaiyan Baanti Gayi. Is Ke Baad Iran Ne Wahan Apne Asar-O-Rusookh Ko Is Qadar Barha Liya Ke Aaj Iraqi Policy Taqreeban Tehran Ke Zair-E-Asar Hai. 1987 Mein Iran Ne Saudi Arab Mein Hajj Ke Dauran Hungama Aarai Ki, Jis Mein 400 Se Zaid Hujjaj Jaan Ba Haq Hue. Iran Ne Isay Mazhabi Ehtijaj Kaha, Magar Aalmi Satah Par Isay Intehai Ghair-Zimmedarana Qadam Samjha Gaya. Pakistan Mein Bhi Iran Ki Mudakhlat Ke Shawahid Maujood Hain. Firqawarana Tanzeemon Ki Pusht Panahi, Asleha Ki Smuggling, Aur Mazhabi Maqasid Ke Naam Par Proxy Jung Jaise Waqiat Mazi Mein Record Par Aa Chuke Hain. Nateejatan Pakistan Mein Firqawarana Kashidgi Barhi Aur Hazaron Jaanain Gayin. Yahan Sawaal Yeh Uthta Hai — Kya Yeh Sab Mehaz Ittifaq Hai? Ya Yeh Haqeeqat Hai Ke Jahan Iran Jata Hai, Wahan Tabahi Aur Firqawariyat Apne Sath Lata Hai? Kya Iran Waqai Islami Duniya Ki Qayadat Ke Laayak Hai, Ya Woh Sirf Apne Geographiyai O Firqawarana Agenda Ke Liye Kaam Kar Raha Hai? Woh Iran Jis Ne Baitullah Par Bhi Siyasi Azaaim Ki Lapeet Mein Charhai Ki, Woh Iran Jis Ne Saddam Aur Qaddafi Ki Maut Par Jashn Manaya, Kya Woh Waqai Hamara Khairkhwah Ho Sakta Hai? Kya Woh Hamare Dilon Mein Islami Hero Ka Maqam Pa Sakta Hai? Kya Yeh Wohi Iran Nahi Jis Ne Shaam Mein Musalmanon Ka Khoon Bahaya? Kya Yeh Wohi Iran Nahi Jis Ne Yemen Ko Firqawariyat Ki Aag Mein Jhonk Diya? Kya Yeh Wohi Iran Nahi Jis Ki Pusht Panahi Se Iraq Mein Hazaron Be-Gunah Maare Gaye? Kya Yehi Wohi Iran Nahi Jis Ne Libya Mein Moammar Qaddafi Ki Maut Par Mithaiyan Taqseem Ki? Kya Yeh Wohi Iran Nahi Jo Hajj Jaise Muqaddas Mauqe Par Bhi Fasaad Barpa Karne Se Baaz Na Aaya?
Image from Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge: *Iran Ki Asliyat*  1979 Mein Iran Mein Khomeini Ki Qayadat Mein Badsha...
🤫 1

Comments