
Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
June 15, 2025 at 09:00 AM
*Jab Rail Ka Koyi Dabba Shor Machaate Huwe Guzre To Samajh Len Wo Khaali Hai.*
*Aur Jab Koyi Taajir Apni Cheezon Ko Cheekh Cheekh Kar Bech Raha Ho, To Jaan Len Ke Wo Cheezen Baasi Hain.*
Insaanon Aur Ashyaa Me Jo Khaali Hote Hain, Wahi Sab Se Zyaada Aawaaz Nikaalte Hain.
Jab Ke Jo Waaqa'ee Mahnati, Samajh-Daar Aur Sanjeedah Hote Hain, Wo Khaamooshi Aur Waqaar Se Apne Kaam Me Lage Rahte Hain.
Gehun Ki Bhari Huwi Baali Khaamooshi Se Sar Jhukaaye Khadi Rahti Hai, Jab Ke Khaali Baaliyaan Hawa Me Itraati Phirti Hain.
Talwaar Khaamooshi Se Haddi Kaat Deti Hai, Jab Ke Tablah Sirf Bajta Hai, Magar Andar Se Khaali Hota Hai.
Hamen Chaahiye Ke Shor Nahi, Amal Karen. Apni Islaah Karen, Hunar Nikhaaren, Aur Khaamooshi Se Kaam-Yaabi Ki Raah Par Chalen.
Be-Wuqoof Log Doosron Ki Toh Me Rahte Hain, Aur Daana Log Apni Khidmaat Me Masroof.
Jaise Shahad Ki Makkhi — Jo Khaamooshi Se Phoolon Ka Ras Chunti Hai Aur Insaaniyat Ke Liye Shifa Ka Zariya Banti Hai.
> *Lihaaza: Kaam Karo, Mahnat Karo Hunar Nikhaaro, Aur Khaali Shor Machaane Waalon Ki Baaton Par Kabhi Dhiyaan Mat Do.*
*Khaamooshi Me Waqaar Hai, Aur Amal Me Taaqat — Dunya Shor Se Nahi, Kirdaar Se Badalti Hai.*
https://whatsapp.com/channel/0029VaRR3zV3QxRuQSHYfL3Z
👍
1