
Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
June 16, 2025 at 03:11 PM
*Dosti Ke Ba'ad Muhabbat Ho Sakti Hai, Lekin Muhabbat Ke Ba'ad Dosti Nahi!*
*"Dosti Ke Ba'ad Muhabbat Ho Sakti Hai"* Kyun Ke Dosti Me E'temaad, Khuloos Aur Qurbat Pahle Se Maujood Hoti Hai, Jo Aahistah Aahistah Muhabbat Me Badal Sakti Hai.
*"Lekin Muhabbat Ke Ba'ad Dosti Nahi"* Is ka Matlab Ye Hai Ke Jab Do Log Aapas Me Muhabbat Karne Lagte Hain Aur Wo Ta'alluq Khatm Ho Jaaye (Kisi Bhi Wajah Se), To Us Ke Ba'ad Dil Wo Puraana Dostaanah Rishtah Qubool Nahi Karta.
Kyun Ke:
- Jazbaat Badal Chuke Hote Hain
- Dil Me Chot Hoti Hai
- Wo Qurbat Dobaarah "Dosti" Ke Daaire Me Fit Nahi Baithhti
> *Is Liye Aksar Log Muhabbat Ke Ba'ad Dobaarah Dosti Ki Koshish Karen Bhi To Wo Ta'alluq Waisa Nahi Rahta.*