Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
June 17, 2025 at 11:33 AM
*Aisa Rishtah Kyun Nibhaaya Jaaye?* Jo Dil Ko Sukoon Dene Ke Bajaaye, Mazeed Takleef De? Jahaan Pyaar Khatm Ho Chuka Ho, Aur Dilon Ke Jazbaat Bhi Murjha Gaye Hon? Aisa Rishta Sambhaalne Ka Kya Faaidah, Jo Dil Ki Khushi Chheen Le Aur Khwaabon Ko Tod Kar Talkh Haqeeqaton Se Bhar De? Aisa Ta'alluq, Jo Do Logon Ko Qareeb Laane Ke Bajaaye Door Kar De? Jo Chahre Par Muskuraahat Laane Ke Bajaaye Aankhon Me Aansoo Bhar De? Rishte Wo Hote Hain Jo Dil Ko Raushni Den, Ummeed Den. Lekin Agar Wahi Rishtah Andhera Ban Jaaye, To Kya Us Ka Saath Dena Zaroori Hai? Aisa Bandhan Chhod Dena Bahtar Hota Hai, Jo Aazaadi Chheen Le, Jo Baaton Ki Mithhaas Khatm Kar De Aur Khaamooshi Se Dil Ko Zakhmi Kare. Jo Pyaar Ki Dunya Ko Khatm Kar Ke Zindagi Ko Wiraan Kar De. Zindagi Me Har Baat Ka Ikhtetaam Zaroori Nahi, Lekin Kuchh Baaten Khatm Kiye Baghair Nayi Shuroo'aat Nahi Ho Sakti Hain. Rishte Wahi Khoob-Soorat Hote Hain, Jo Aap Ko Mazboot Banaayen, Aur Kabhi Kabhi Aise Rishte Se Aage Badhh Jaana Hi Sab Se Bahtar Faislah Hota Hai. https://whatsapp.com/channel/0029VaRR3zV3QxRuQSHYfL3Z
👍 1

Comments