Raah E Haq (راہِ حق): Spreading the Light of Qur'aan & Sunnah | Authentic Posts | Pure Knowledge
                                
                            
                            
                    
                                
                                
                                June 21, 2025 at 02:53 AM
                               
                            
                        
                            *Kabhi Kabhaar Nange Paaun Bhi Chala Karen!*
Hazrat Fazaalah Bin Ubaid رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْہُ Riwaayat Karte Hain Ke Rasoolullaah ﷺ Hamen Hukm Farmaaya Karte: *"Kabhi Kabhi Nange Paaun Bhi Chala Karo"* (Sunan Abi Daawood, Hadees: 3629)
Nange Paaun Wahaan Chalen Jahaan Jagah Paak Ho Aur Itminaan Ho Ke Najaasat Nahi. Ye Na Sirf Jismaani Faaidah Rakhta Hai Balke Ek Sunnat Bhi Hai, Jis Se Ittiba E Nabwi ﷺ Ki Niyyat Ke Saath Amal Kiya Jaa Sakta Hai.
- Ghar Me, Baagh Me Yaa Saaf Ghaas Par Nange Paaun Chalna Tibi Taur Par Bhi Mufeed Hai.  
- Bachchon Ko Bhi Ye Aadat Sikhaayi Jaaye.