AAO APNI ISLAAH KAREN [JRM]
AAO APNI ISLAAH KAREN [JRM]
June 12, 2025 at 08:03 AM
Ameerul Mu'mineen Hazrat Umar Farooq رضی اللہ عنہ ke zamana-e-mubarak mein ek naujawan bohot muttaqi o parhezgaar o ibadat guzaar tha, Hatta ke Hazrat Umar رضي اللہ عنہ bhi uski ibadat par ta'jjub kiya karte the. Woh naujawan namaz-e-Isha masjid mein ada karne ke baad apne boodhe baap ki khidmat karne ke liye jaya karta tha. Raste mein ek khoobroo aurat usay apni taraf bulati aur chedti thi, lekin yeh naujawan us par tawajju diye baghair nigaahein jhukaye guzar jaya karta tha. Aakhir kaar ek din woh naujawan shaitaan ke warghalane aur us aurat ki dawat par burai ke irade se uski jaanib barha, lekin jab darwazay par pohancha to usay Allah Ta’ala ka yehi farmaan-e-aalishaan yaad aa gaya: *اِنَّ الَّذِیْنَ اتَّقَوْا اِذَا مَسَّهُمْ طٰٓىِٕفٌ مِّنَ الشَّیْطٰنِ تَذَكَّرُوْا فَاِذَاهُمْ مُّبْصِرُوْنَۚ* Tarjuma: Beshak jab shaitaan ki taraf se parhezgaaron ko koi khayaal aata hai to woh foran hukum-e-Khuda yaad karte hain, phir usi waqt unki aankhein khul jaati hain. Is aayat-e-paak ke yaad aate hi uske dil par Allah Ta’ala ka khauf is qadr ghaalib hua ke woh be-hosh hokar zameen par gir gaya. Jab yeh bohot der tak ghar na pohancha to uska boodha baap usay talaash karta hua wahan pohancha aur logon ki madad se usay uthwa kar ghar le aaya. Hosh aane par baap ne tamam waaqia daryaft kiya, naujawan ne poora waaqia bayaan kar ke jab is aayat-e-paak ka zikr kiya, to ek martaba phir us par Allah Ta’ala ka shadeed khauf ghaalib hua, usne ek zor daar cheekh maari aur uska dum nikal gaya. Raato-raat hi uske ghusl, kafan aur dafan ka intezam kar diya gaya. Subah jab yeh waaqia Hazrat Umar رضی اللہ عنہ ki khidmat mein pesh kiya gaya to aap uske baap ke paas ta’ziyat ke liye tashreef le gaye aur usse farmaya ke: “Aap ne humein ittila kyun nahi di? (taake hum bhi janazay mein shareek ho jaate).” Usne arz ki: “Ameer al-Mu’mineen! Uska inteqaal raat mein hua tha aur aap ke aaraam ka khayaal karte hue batana munaasib maaloom na hua.” Aap ne farmaya: “Mujhe uski qabr par le chalo.” Wahan pohanch kar aap ne ye aayat-e-mubarakah padhi: *"وَ لِمَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهٖ جَنَّتٰنِۚ"* Tarjuma: Aur jo apne Rab ke huzoor kharay hone se dare uske liye do jannatein hain. To qabr mein se us naujawan ne jawab dete hue kaha: "Ya Ameer al-Mu’mineen! Beshak mere Rab ne mujhe do jannatein ata farmaayi hain." Is se maloom hua ke Allah Ta’ala ka khauf badi a'ala nemat hai. Allah Ta’ala sab Musalmanon ko apna khauf naseeb kare. 🤲 `AAO APNI ISLAAH KAREN FOLLOW ME👇🏻` https://whatsapp.com/channel/0029VaNxKasDDmFQgtAuw02Z
Image from AAO APNI ISLAAH KAREN [JRM]: Ameerul Mu'mineen Hazrat Umar Farooq رضی اللہ عنہ ke zamana-e-mubarak ...
❤️ 👍 2

Comments