
Subai Jamiat Ahle Hadees Mumbai
June 8, 2025 at 04:16 PM
Khutba e Eid ul Azha 1446H Ka Khulasa
🎙Fazilatush shaikh Abdussalam Salafi Hafizahullah
(Ameer Subai Jamiat Ahle Hadees Mumbai)
•─════﷽════─•
✺Khutba e Masnoona:
Ameer-e-Mohtaram ne khutba-e-masnoona pesh karte huye Allah ta'ala ki hamd o sana ki, Nabi Akram ﷺ par durood o salam bheja aur tauheed, taqwa aur Rasool Allah ﷺ ki ita'at ki talqeen par mabni aayaat-e-Qur'ani tilawat farmayi.
Ameer-e-Mohtaram ne mazeed farmaya ke behtareen kalam Allah ki kitab hai aur behtareen tareeqa Nabi ﷺ ka tareeqa hai, aur deen mein nayi baatoñ se ijtinaab ki takeed ki.
✺ Takbeeraat-e-Eid:
Ameer-e-Mohtaram ne Eid ki takbeeraat "Allahu Akbar Allahu Akbar, Laa ilaha illallaah, wallahu Akbar Allahu Akbar, wa lillaahil hamd" padhi, jo Eidain ki namaz aur Ayyam-e-Tashreeq mein Allah ta'ala ki badayi aur hamd o sana ke izhaar ka zariya hain.
✺Eid-ul-Azha ki Azmat aur Paigham:
Ameer-e-Mohtaram ne hazireen ko mukhatib karte hue kaha ke aaj ka din Eid aur qurbani ka din hai. Unhone wazahat ki ke Allah ta'ala ke nazdeek saal bhar ke ayyaam mein sab se azeem din "Yaam-un-Nahr" hai. Aur yeh din Allah ta'ala ki taraf se Musalmaanoñ ke liye ek azeem in'aam aur khushi ka mauqa hai.
✺Takbeeraat-e-Eid ka Mafhoom aur Ahmiyat:
Ameer-e-Mohtaram ne Takbeeraat-e-Eid ke gehre mafhoom par roshni daalte hue farmaya ke yeh sirf khushi ka izhaar nahi balke Allah ki kibriyai, uski badayi ka bayan aur tamaam taaghuti taaqatoñ aur ghairullah ki ibadat ke inkaar ka aelan hai.
Unhone kaha ke "Laa ilaha illallaah" ka iqraar is baat ki saraahat hai ke ibadat ka mustahiq sirf Allah ta'ala hai, aur yahi yaqeen humare diloñ ki gehraiyoñ mein hona chahiye.
Maulana ne mazeed farmaya ke yeh takbeeraat mehz ek naghma ya zamzama nahi, balke yeh duniya ki sab se azeem sachchai aur haqeeqat ka mazhar hain.
✺Sayyidna Ibrahim alaihissalam ki Sunnat ki Tajdeed:
Ameer-e-Mohtaram ne kaha ke Eid-ul-Azha Sayyadna Ibrahim alaihisalam ki sunnat ki tajdeed ka din hai. Unhone Allah ki farmañbardari ki woh be-misaal daastan raqam ki jis ki nazeer nahi milti. Unki isi azeem qurbani aur farmañbardari ki yaad mein Allah ta'ala ne is sunnat ko Qayamat tak ke liye jaari farma diya.
Aur jab hum qurbani karte hain to darhaqeeqat hum ek janwar zabah nahi karte balke Sayyadna Ibrahim alaihissalam ki us sunnat ko zinda karte hain jo Allah ki ita'at aur farmañbardari par mabni hai.
✺ Qurbani ka Haqeeqi Maqsad: Ikhlaas o Taqwa:
Maulana ne kaha ke qurbani ka asal maqsad Allah ta'ala ke liye ikhlaas, ita'at, farmañbardari aur apne aap ko Allah ke supurd karna hai. Hamare jazbaat aur khwahishaat Allah ke hukm ke taabe’ hone chahiyeiñ. Hamara libaas, shakl o soorat, taur tareeqa, kirdar aur muamlaat sab Allah ke hukm ke mutabiq hoñ.
Qurbani ki munasibat se isi ehed ki tajdeed hoti hai.
Allah ta'ala ko hamari qurbaniyoñ ke gosht aur khoon nahin pahunchte balke iske piche hamara jazba, niyat, ikhlas aur taqwa pahunchta hai. Isi zimn mein aap ne Quran Majeed ki yeh aayat tilawat farmai:
❐ ﴿لَن يَنَالَ اللَّهَ لُحُومُهَا وَلَا دِمَاؤُهَا وَلَٰكِن يَنَالُهُ التَّقْوَىٰ مِنكُمْ﴾ [الحج: ۳۷]
✺Sayyiduna Ibrahim alaihissalam ki Seerat ke Teen Ahem Pehlu:
Ameer-e-Mohtaram ne Sayyadna Ibrahim alaihissalam ki seerat ke teen numayañ pehlu bayan kiye:
① Tauheed par saabit qadmi aur shirk se bezari:
Maulana ne kaha ke har haal mein tauheed par qayam rehna aur shirk se mukammal bezari ka aelaan karna zaroori hai. Ghairullah ki ibadat ka inkaar kiye baghair tauheed mukammal nahi hoti.
② Allah par kaamil tawakkul:
Ameer-e-Mohtaram ne kaha ke sangeen tareen halaat mein bhi, hatta ke aag mein daale jaane ke waqt bhi, unka emaan aur yaqeen tha ke: "Hasbunallahu wa ne’mal wakeel" — hamare liye Allah kaafi hai, aur wahi behtareen kaarsaaz hai.
③ Apne watan ke liye amn o amaan ki dua:
Maulana ne kaha ke tauheed par saabit qadmi aur shirk se panah maangne ke saath-saath Ibrahim alaihissalaam apne watan (Makkah Mukarramah) ke liye amn o amaan ki dua karte the. Humeiñ bhi apne watan mein amn o amaan ki bahaali ke liye duayeiñ aur mumkinah koshisheiñ karni chahiye. Aur saath hi saath yeh bhi waazeh rehna chahiye ke haqeeqi amn tauheed ke qiyaam ke baghair mumkin nahi.
✺ Maujooda Halaat aur Hamari Zimmedariyaañ:
Maujooda daur mein, khususan Falasteen mein, Musalmanoñ ko darpesh mushkilaat ka zikr karte hue Ameer-e-Mohtaram ne kaha ke yeh ummat ek jism ki maanind hai, lihaza humeiñ unke gham mein shareek hona chahiye aur unki behtari ke liye dua karni chahiye.Neez, apne watan mein bhi amn o amaan, rawadaari aur ache haalaat ke liye dua-go rehna chahiye. Unhone Yahoodi saazishoñ aur nafrat angez siyasat se hoshiyaar rehne ki talqeen ki.
✺ Propagandoñ se Ijtinaab aur Ittehaad ki Ahmiyat:
Ameer-e-Mohtaram ne farmaya ke hamare khilaaf hone wale propagandoñ ka jawab jazbatiyat ya ghalat tareeqoñ se nahi dena hai. Muzaahiroñ aur intishar se bacheiñ aur hum ek zimmedaar shehri ka kirdar ada kareiñ.
Maulana ne ulama aur jamati zindagi se munsalik rehne ko ittehad ke liye zaroori qarar diya aur har aawaz ke peeche bhaagne se gurez karne ki takeed ki, kyunke yeh har daur ka fitna raha hai.
✺ Qurbani ke Amali Aadaab: Safayi Suthrai:
Maulana ne kaha ke qurbani karte waqt ikhlaas-e-niyyat ke saath-saath safayi suthrai ka mukammal khayal rakheiñ. Qurbani ke fuzlaat aur na-qabil e istemal ajzaa ko galiyoñ, societies ya gharoñ ke bahar phenkne se ijtinaab kareiñ, kyunke yeh amal deen, akhlaq aur samaji aadaab ke khilaaf hai.
✺ Aakhri Paigham: Allah ki Ita'at aur Taqwa ki Zindagi:
Ameer-e-Mohtaram ne tamam mard o zan ko Allah ka farmañbardaar ban kar taqwa aur Allah ki ita'at wali zindagi guzaarne ki talqeen ki.
Unhone is emaan par zor diya ke Allah ki farmañbardari karne waloñ ko hi Allah ta'ala ghalba ataa karta hai.
Ameer-e-Mohtaram ne Nabi Akram ﷺ ki wasiyat ka hawala dete hue farmaya ke kitab o sunnat ko mazbooti se thaame rehna hi gumrahi se bachne ka waahid raasta hai.
Mazeed unhone kaha ke Allah ka rang — *“Sibghatallah”* — yaani deen-e-Islam aur tauheed o sunnat ka rang hi hamara haqeeqi rang hona chahiye.
✺ Ikhtitaami Kalimaat aur Dua:
Ameer-e-Mohtaram ne dua ki ke Allah ta'ala hum sab ki ibadaat aur qurbaniyoñ ko qubool farmaaye, humeiñ apni ita'at o farmañbardari aur Nabi ﷺ ki sunnat par kaarband rehne ki taufeeq de aur isi halat par maut ata farmaye.
Duniya bhar ke mazloomoñ, bil-khusoos Falasteeni Musalmanoñ ki khusoosi madad farmaaye.
Hamare watan e azeez mein amn o amaan qayam rakhe aur nafrat ki siyasat se mehfooz rakhe. Aameen.
وَآخِرُ دَعْوَانَا أَنِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
https://youtu.be/OpPgNCM7gjE
┈┉┅━━━❁━━━┅┉┈
❤️
1