Ummat-e-Nabi.com Official WhatsApp Channel

Ummat-e-Nabi.com Official

2.0K subscribers

About Ummat-e-Nabi.com Official

Assalamu alaikum, join our official channel for regular Quran Hadees post updates

Similar Channels

Swipe to see more

Posts

Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/25/2025, 1:49:39 AM

Aaj ka Sawal: Zameen ki Barkatein kya hai ?

🇵🇸 ❤️ 3
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/23/2025, 3:09:18 PM

🚨 *BHEL Recruitment 2025* Apply Offline for 20 Engineer & Supervisor Paosts 📅 Last Date: 11 June 2025 🎓 Qualification: B.Tech/B.E, Diploma,a M.Tech 💼 Salary: ₹84,000 for Engineers 📄 Download Notification & Apply Now: 👉 https://sarkaridost.com/kmkg

Post image
Image
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/27/2025, 2:56:32 AM

Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ *Baal aur Nakhun Katna* Zil-Hijjah ka Chand dekhne ke baad Qurbani ki Niyat rakhne wale ko Baal aur Nakhun Katne se mana farmaya hai. Daleel : Nabi (ﷺ) ka farmaan hai: “Jab tum Zil-Hijjah ka chaand dekh lo aur tum mein se koyi shakhs Qurbani karne ka irada rakhta ho to woh apne Baalon aur nakhuno ko (na kaate) apne haal par rehne de.” 📕 Sahih Muslim: 1977 Source: https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-228/

❤️ 3
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/25/2025, 5:06:15 PM

Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ *Duniya ki Chamak Dhamak* Daleel : Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Main tumhare mutaliq sab se ziyada is se khauf khaata hu ke jab Allah Taala Zameen ki barkatein tumhare liye nikaal dega. Poocha gaya Zameen ki barkatein kya hain? Farmaya ke Duniya ki Chamak Dhamak, ess par ek sahabi ne Nabi Kareem ﷺ se poocha “kya bhalai se burayee paida ho sakti hai?” Nabi Kareem ﷺ is par khamosh ho gaye aur hum ne khayaal kiya ke shayad Aap par wahi nazil ho rahi hai. is ke baad apni peshani ko saaf karne lage aur daryaft farmaya, Poochnay wala kaha hain? Poochnay waale ne kaha ke haazir hu. Abbu Saeed Khudri (R.A) ne kaha ke jab is sawal ka hal hamare samne aa gaya toh hum ne un sahib ki tareef ki. Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke : “Bhalai se to sirf bhalai hi paida hoti hai lekin yeh maal sirsabz aur Khushgawar (ghaas ki terhan) hai aur jo cheez bhi Rabi ke Mousam mein ugti hain woh hiras ke sath khane walon ko halaak kar deti hain ya halakat ke qareeb pouncha deti hain. siwaye is janwar ke jo pait bhar ke khaye ke jab is ne kha liya aur is ki dono kokh bhar gayi toh is ne Sooraj ki taraf mun kar ke jugaali kar li aur phir pakhana pishaab kar diya aur is ke baad phir lout ke kha liya aur yeh maal bhi bohat sheree hai jis ne usey haq ke sath liya aur haq mein kharch kiya to woh behtareen zariya hai aur jis ne usey najaaiz tareeqa se haasil kiya to woh is shakhs jaisa hai jo khata hai lekin aasooda nahi hota.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees6427

🇵🇸 👍 2
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/28/2025, 3:25:34 AM

#पसीना. एक सादा सा लफ़्ज़, मगर इसके पीछे छुपा है एक बेहद पेचीदा और अजीब निज़ाम। साइंस कहती है कि इंसान के जिस्म में 2 से 4 मिलियन तक पसीने की ग्रंथियाँ (sweat glands) होती हैं, जो जिस्म का तापमान कंट्रोल करती हैं। जब जिस्म गर्म होता है, तो पसीना निकलता है, और उसकी भाप उड़कर जिस्म को ठंडक देती है। साथ ही, यह टॉक्सिन्स को बाहर निकालकर हमें बीमारियों से भी बचाता है। अब सोचिए इतनी बारीकी से काम करने वाला ये सिस्टम क्या यूँ ही अपने-आप बन गया? नहीं! यह सब कुछ अल्लाह की अज़ीम हिकमत और रहमत का नतीजा है। और (अल्लाह की) नेमतें गिननी शुरू करो, तो गिन नहीं सकोगे…" (क़ुरआन 16:18)

Post image
❤️ ♥️ 👍 🕋 😢 13
Image
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/26/2025, 12:07:12 AM

Aaj ka Sawal: Zil-Hijjah ka Chand dekhne ke baad Qurbani ki Niyat rakhne wale ko Kya karne se Mana farmaya hai?

🇵🇸 1
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
6/5/2025, 7:39:30 AM

📌 *Kya Yawm-e-Arafah ka Roza Apne Mulk ke 9 Zul-Hijjah ko Rakhna Chahiye?* * 🔍 Bahut se Musalman is baat par confused hain ke Yawm-e-Arafah ka roza apne mulk ke 9 Zul-Hijjah ko rakhein ya jab Hujjaj Arafat mein hote hain? ✅ Aaiye daleelon ke saath samajhte hain ke apne mulk ki tareekh ke mutabiq 9 Zul-Hijjah ko roza rakhna hi sabse zyada theek aur asaan hai: 1️⃣ Ikhtilaf-e-Matali’ (moon sighting ka farq) mukhtalif mumalik mein tareekhon ko mukhtalif banata hai, ye shar'an maqool aur ma'roof hai. 2️⃣ Pehli raaye ke mutabiq har mulk apne chand ke mutabiq roza rakhta hai – daleel: "Soomoo li ru’yatihi wa aftiru li ru’yatihi..." (Bukhari) 3️⃣ Kuch mulkon mein us din Eid hoti hai jab Makkah mein Arafah hota hai – Jaise : Tunesia Lebia Etc to wo Eid ka din hoga, jab roza rakhna haram hai. 4️⃣ Agar moon sighting ka ikhtilaf na mana jaye to phir iftar, sehri aur namaz ke auqat bhi Makkah ke mutabiq hone chahiye – jo ke kisi mulk mein mumkin nahi. 5️⃣ Sahih Muslim mein sabit hai ke Madinah ne Shaam ke chand par amal nahi kiya, balkeh apni ro’yat par roza rakha – har ilaqe ki ro’yat maqool samjhi gayi. 6️⃣ *Sahaba ke dour mein bhi sab ne ek hi din Yawm-e-Arafah ka roza rakha ho, is ki koi shahadat nahi milti.* 📌 Nateeja: *Apne mulk ke chand ke mutabiq 9 Zul-Hijjah ko Yawm-e-Arafah ka roza rakhna zyada sahih, asaan aur sabit shuda tareeqa hai. Is mein confusion bhi nahi, aur shar'an daleel bhi mazboot hai.* ✍️ Ilm ke saath amal karein – na ke suni sunayi baton ke pressure mein aakar masail ko mushkil banayein.

❤️ 👍 6
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/30/2025, 4:55:04 PM

Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ *Surah Fazr* Daleel : Allah Taala Quran me farmata hai: _“Qasam hai Fajr ki! aur 10 Raatou ki!”_ 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Imam Ibn Kaseer(R.H) farmatey hai: “Is aayat me Dus Raatou se Muraad Zill Hijja Mahine ki Pahli 10 Raatey hai.” 📕 _Tafseer Surah Al-Fajr: Tafseer Ibn Kaseer : 5/559._ https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-230/

❤️ 👍 5
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/30/2025, 3:28:44 AM

Ashra Zil Hijjah ka Zikr Quran ki Kis Surah me aaya hai?

❤️ 2
Ummat-e-Nabi.com Official
Ummat-e-Nabi.com Official
5/28/2025, 2:32:17 AM

कहते हैं अल्लाह जिसको बुलाना चाहता है उसी को अपनी चौखट पर बुलाता है अल्लाह_हु_अकबर देखिए पूरी वीडियो और शेयर करे ❤️

❤️ 3
Video
Link copied to clipboard!